song of the day: (kabhi kabhi - sahir ludhiyanavi)
kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai...
ki zindagi tere zulf ki narm chaoon mein guzarne pati
to shadaab ho bhi sakti thi.
ye ranj-o-gham ki syaahi jo dil pe chhaai hai
teri nazar ki shuaoon mein kho bhi sakti thi.
magar ye ho na sakaa aur ab ye aalam hai
ke tuu nahin, tera gham, teri justajoo bhi nahin;
guzar rahi hai kuch iss tarah zindagi jaise
ise kisi ke sahaare ki aarzoo bhi nahin.
na koi zadaa na manzil na raushni kaa suraag,
bhatak rahi hai andheroon mein zindagi meri;
inhi andheroon mein reh jaaunga kabhi khokar
main jaanta hun meri hum-nafaz magar yuhin
kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai.

0 Comments:
Post a Comment
<< Home