Saturday, August 06, 2005

urdu ghazal of the day: (mirza ghalib)

ye na thi hamaari kismat ki visaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahii intezaar hota

tere vaade par jiye hum to yeh jaan jhoot jana
ki kushi se mar na jaate agar eitbaar hota

teri naazuki se jaana ki bandha thaa ahad boda
kabhi tu na tod sakta agar ustuvaar hota

koi mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
ye khalish kahaan se hoti jo jigar ke paar hota

ye kahaan ki dosti hai ki bane hain dost naaseh
koi charaasaaz hota koi ghamgusaar hota

rang-e-sang se tapakta vo lahu ki phir na thamta
jisse gham samajh rahe ho ye agar sharaar hota

gham agarche jaan-gusil hai par kahaan bachen ki dil hai
gham-e-ishq gar na hota gham-e-roozgaar hota

kahoon kisse main ki kya hai shab-e-gham buri balaa hai
mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota

huye mar ke hum jo rusvaa hue kyon na garke-dariya
na kabhi janaazaa uthta na kahin mazaar hota

ye masaaile tasavvuf ye tera bayaan ghalib
tujhe hum valii samajhte jo na badaakhvaar hota.

0 Comments:

Post a Comment

<< Home