Monday, August 08, 2005

urdu ghazal of the day: (mirza ghalib)

hazaroon khwahishen aisi ki har khwahish pe dam nikle
bahut nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle

dare kyon mera kaatil kya rahega uski gardan par
vo khoon jo chasme-tar se umr-bhar yun dam-ba-dam nikle

nikalna khuld se aadam ka sunte aaye the lekin
bahut beaabru hokar tere kuche se hum nikle

mohabbat mein nahin hai fark jeene aur marne ka
usi ko dekh kar jeete hain jiss kaafir pe dam nikle

zaraa kar zor seene par ki teere-pur-sitam nikle
jo vo nikle to dil nikle jo dil nikle to dam nikle

khuda ke vaaste pardaa na kaabe ka utha ghalib
kahin aisa na ho yaan bhi vahi kaafir sanam nikle

1 Comments:

Blogger Himanshu said...

i love this gazals, and do watch out the movie "hazaroon khwahishen aisi " , if you haven't.

1:47 AM  

Post a Comment

<< Home